akeli kyun rahe birhan ye barish ne kaha mujh se bula le pas tu sajan ye barish ne kaha mujh se tumhaari sans mahkegi ki taza yaad bhi hogi bhigone de mujhe aangan ye barish ne kaha mujh se kabhi tum sath bhige the magar mafhum aankhen ab bhigoti hain tera daman ye barish ne kaha mujh se samundar ke kinaron par chala tha ham-qadam lekin bana wo shakhs kyun dushman ye barish ne kaha mujh se hawaon ne tera aanchal uda dala tere sar se badi masti mein hai sawan ye barish ne kaha mujh se tere honton mein sajti thi tere sajan ke hathon se kabhi imli kabhi jaman ye barish ne kaha mujh se kahin pardes mein hoga 'dua' sajan ko bulwa le na yun be-kar kar jiwan ye barish ne kaha mujh se