aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin donon aalam teri nairang adai ke nisar ab koi chiz yahan jeb-e-mohabbat mein nahin daulat-e-qurb ko khasan-e-mohabbat jaanen chand ashkon ke siwa kuchh meri qismat mein nahin log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin sab se ek tarz juda sab se ek aahang juda rang mahfil mein tera jo hai wo khalwat mein nahin nashsha-e-ishq mein har chiz udi jati hai kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin dawa-e-did ghalat dawa-e-irfan bhi ghalat kuchh tajalli ke siwa chashm-e-basirat mein nahin ho gai jama mata-e-gham-e-hirman kyunkar main samajhta tha koi parda-e-ghaflat mein nahin zarre zarre mein kiya josh-e-tarannum paida khud magar koi nawa saz-e-mohabbat mein nahin najd ki samt se ye shor-e-ana-laila kyun shokhi-e-husn agar parda-e-wahshat mein nahin