ab chaman mein ham-nafas aur ham-zaban koi nahin ham-nashin koi nahin hai raazdan koi nahin kis se haal-e-dil kahen kis ko sunaen haal-e-zar chaara-saz-e-dard-e-dil-soz-e-nihan koi nahin kal bhi main tanha raha hun aur tanha aaj bhi kal wahan koi na tha aur ab yahan koi nahin fasl-e-gul aate hi uthti hai sada-e-zagh o bum ghuncha-o-gul aur bulbul shadman koi nahin nukta-chin mahfil ki raunaq ban gae hain aaj-kal bazm-e-yaran mein sitam hai nukta-dan koi nahin yun to kahne ko sabhi the ham-safir-o-ham-khayal ham-safar koi nahin ab ham-inan koi nahin