ab chaman-zar hi apna hai na sahra apna kal har ek shakh pe mumkin tha basera apna baam-o-dar tak na rahe ghar ke to ghar kya apna ab falak bhi na hata le kahin saya apna umr bhar jis ne zamane ki masihai ki ban saka apne hi gham main na masiha apna kis ke ghar jaun kise aaj main apna samjhun apne ghar hi mein nahin koi shanasa apna phir kasi mod pe ek roz pukaroge mujhe chahe ab tod do dil se mere rishta apna tum hamein harf-e-ghalat kah ke mita bhi na sake ab bhi har lab pe sar-e-bazm hai charcha apna sham ho jaegi ek roz to chalte chalte sath lete chalen hum aaj ujala apna sath sab chhod gae rah-e-mohabbat mein 'hayat' sarf ek sath raha naqsh-e-kaf-e-pa apna