kya ishq ke uljhe jade hain manzil ka kahin par nam nahin

kya ishq ke uljhe jade hain manzil ka kahin par nam nahin
taqdir hai aur tadbir nahin aaghaz hai aur anjam nahin

ai ashk machalti chingari tu dard hai khud paigham nahin
aankhon mein kabhi palkon pe kabhi tujh ko bhi kahin aaram nahin

dam bhar ki hansi dam bhar ki khushi ye bhi to dil-e-nakaam nahin
is chalti-phirti duniya mein sab kuchh hai magar aaram nahin

ye pher mohabbat ke tauba aain-e-jafa bhi aam nahin
qatil ki chhuri par khun to hai qatil pe magar ilzam nahin

qismat ki lakiren dekh to len tahrir magar ye aam nahin
is khat ko bhala kyon kar samjhen jis khat mein hamara nam nahin

aankhon ke gulabi doron mein ek kaif sa paya jata hai
mai-khwar-e-mohabbat hosh mein aa saqi ki nazar hai jam nahin

duniya ke bhare bazaron mein yun sunta hun apna afsana
jaise ki ye mera zikr nahin jaise ki ye mera nam nahin

ye joshish-e-girya tanhai ye pichhle pahar ka sannata
ashkon mein mujhe kah lene do ye khas hai qissa aam nahin

nazron mein tasadum dil mein chubhan ek shama hai ek parwana hai
donon hi mein baaten hoti hain aawaz ka lekin nam nahin

bijli ki chamak mein shoale hain phulon ki hansi mein aansu hain
ye 'fazl' wafa ki duniya hai phir bhi to wafa ka nam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close