be-khudi mein jab teri mahfil mein diwane gae ahl-e-dil ahl-e-hawas ke farq pahchane gae kaise kaise haal mein dekha janab-e-shaikh ko mahfil-e-rindan mein jab bhi waz farmane gae mai-kash-e-awara is duniya se kya uth kar gaya mai gai jam-o-subu saqi-o-mai-khane gae ai hasinan-e-jahan ahl-e-hawas se hoshiyar warna husn-o-ishq se marbut afsane gae faisla-kun kis qadar thi hae zalim ki ada dil-jigar qalb-o-nazar ke sare afsane gae apne apne bas ki baaten ahl-e-mahfil jaan len sham-e-mahfil ke qarin phir lije parwane gae zindagi-bhar 'asr' go rindon ke ham-mashrab rahe phir bhi diwanon mein farzane se gardane gae