falak se chandni phir jhankti hai zamin par tirgi jab nachti hai sitara jab bhi tuta aasman se wahi khwahish dobara jagti hai bana leti hai zanjiron se pael mohabbat raqs karna jaanti hai pata hai ki wahan pani nahin hai magar ummid sahra chhanti hai qaza puri ho karni phir kisi ki zamin mehwar pe aise bhagti hai mein raaz-e-zindagi kyunkar bataun kahan ye nasl kahna manti hai