ab dua ka zor chalta hi nahin hijr ka aaseb talta hi nahin lakh bahlaen bahalta hi nahin dil kisi karwat sanbhalta hi nahin sar pe suraj hai khada muddat hui din ye kaisa hai ki dhalta hi nahin aazmai to hai us ne har ada husn ka ab sehr chalta hi nahin zindagi lai hai ab kis mod par ab qadam koi sanbhalta hi nahin har ghadi ehsas ka tufan hai dil ka ye aalam badalta hi nahin khun jab tak ro na le chashm-e-ufuq subh-dam suraj nikalta hi nahin waqt hi ke matahat sab kaam hain wo jo kah de phir wo talta hi nahin shahr-e-dil tarik hai 'shaariq' bahut dip armanon ka jalta hi nahin