hisar-e-zat se bahar nikal ke aa to sahi wafa ki rah pe chal kar zara dikha to sahi phir is ke baad bhatak jaun to qusur mera asir-e-shab hun mujhe raushni mein la to sahi main mutmain hun dukhon se khushi mili na mili teri janab se sad-shukr kuchh mila to sahi khirad to baithi rahi husn ki umidon par junun ne dasht-nawardi ki kuchh kiya to sahi main muntashir hi raha khwahishon ke sahra mein mera wajud mukammal tha kab bata to sahi mazaq samjha hai ulfat ko tu ne ai 'shaariq' do ek sang meri tarah sar pe kha to sahi