tere ghamon se ibarat hai ab khushi meri guzar rahi hai saliqe se zindagi meri kabhi jo zarra-e-khaki ka koi zikr chhida nigah uth ke sitaron pe jam gai meri ye aur baat ki jine ka lutf aa na saka tere baghair bhi guzri hai zindagi meri wo kaif hai ki ab aapa bhi koi hosh nahin ye kis maqam pe lai hai be-khudi meri palak palak pe sitare saje hue hain 'ziya' ye un ka husn-e-nazar hai ki raushni meri