ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai sach hai ki waqt jata raha baat rah gai teri sifat se na raha kaam kuchh mujhe bas teri sirf dosti bizzat rah gai kahne laga wo haal mera sun ke raat ko sab qisse ja chuke ye khurafat rah gai din intizar ka to kata jis tarah kata lekin kaso tarah na kati raat rah gai bas naqd-e-jaan hi sirf 'asar' ne kiya nisar gham ki tere sab aur mudaraat rah gai