zindagi ko ek mani de gaya wo mujhe ek rut suhani de gaya wo to apne lams se atraf mein khushbu jaise zafrani de gaya soch kar jite rahe sham-o-sahar khwab jaisi ek kahani de gaya muntashir hain dhadkanon ke saz bhi dard mein aisi rawani de gaya tis ban kar rah gaya pahlu mein jo zakhm aisa jawedani de gaya chhin kar lab se tabassum ki lakir jhil si aankhon mein pani de gaya