pahle bhi kaun sath tha ab jo koi nahin raha waqt sitam-zarif tha waqt ka phir bhi kya gila kaisi ajib sham thi kaisa ajib waqia kahne ko kah rahe hain log main ne tujhe bhula diya qissa ye hai ki main tujhe dil se kahan bhula saka tark-e-talluqat ka baqi hai ek marhala baqi hai ab bhi zehn mein khwabon ka ek silsila ishq se nisbaton mein hai mere safar ka rasta sham hui to chal pada hijr-zadon ka qafila koh-kani se rabt hai nam-o-nasab ka zikr kya