chalo ye sach hi sahi hoga na-gahan guzre hamare dar se magar aap mehrban guzre jidhar bhi aap gae bas gae hain virane ujad gae hain chaman hum jahan jahan guzre hamein mitane ki gar koshishen tamam huin to ye bhi kahiye ki hum kitne sakht-jaan guzre wo subh-o-sham ki ranginiyan tamam huin saubaton ki kadi dhup hai jahan guzre wo apne daman-e-para pe bhi nigah kare jahan mein mujh pe utha kar jo ungliyan guzre hayat-o-maut ka hal kar chuke hain har uqda ab hum ko khauf nahin lakh imtihan guzre 'anis' aap ko dekha hai har ghadi masruf kabhi to chain se do-chaar din miyan guzre