chain wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai

chain wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
dard dukh bhi wo uthae hain ki ji jaanta hai

yaad aati hain jawani ki bahaaren ab tak
wo maze hum ne udae hain ki ji jaanta hai

han dua bhi kabhi li hogi kisi ke dil ki
tum ne dil bhi wo dukhae hain ki ji jaanta hai

wo lajate hue sharmate hue bazm mein aaj
is tarah samne aae hain ki ji jaanta hai

han kaleje bhi kiye honge kisi ke thande
tum ne ji bhi wo jalae hain ki ji jaanta hai

chhid gai bahs khuli un pe jo dil ki chori
is tarah aankh churae hain ki ji jaanta hai

ghair to ghair hi hain ishq mein dekha sab ko
apne bhi aise parae hain ki ji jaanta hai

aap ke pyar se aghyar ne kya kya na kiya
wo wo tufan uthae hain ki ji jaanta hai

rakh ke aghyar pe mahfil mein wo tan o tashnia
is tarah mujh ko sunae hain ki ji jaanta hai

'lutf' hum us but-e-saffak ke kuche se aaj
bach kar is tarah se aae hain ki ji jaanta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close