ab ghataen siyah halki hain raat shayad ye khul ke barsi hain aap sada-libas mein bhi mujhe had se zyaada hasin lagti hain dil mera khanqah ho goya dhadkanen tera nam japti hain ek muddat hui nahin roya meri palken hanuz bhigi hain bewafai ki ye adaen sabhi aap hi se to hum ne sikhi hain ab ye chhutte nazar nahin aate abr jo bastiyon pe tari hain ab sambhalte 'khayal-sahab' aap bachpane ki haden bhi hoti hain