ek yahi wasf hai is mein jo amar lagta hai wo kadi dhup mein bargad ka shajar lagta hai yun to chahat mein nihan june ki hiddat hai magar sard lahje mein december ka asar lagta hai jab se jaana ki wo ham-shahr hai mera tab se shahr-e-lahore bhi jadu ka nagar lagta hai jaane kab gardish-e-ayyam badal dale tujhe jit kar tujh ko mujhe haar se dar lagta hai chahe kitni hi sajawat se muzayyan ho magar man nazar aae to ghar asl mein ghar lagta hai is qadar us ki nigahon mein taqaddus hai nihan sar jhukati hun to pipal ka shajar lagta hai