lawn mein baitha darwaze par dastak sun kar chaunk pada kaun hai jis ne wahshat todi mujh sa patthar chaunk pada teri yaad mein rote rote shab bhar jaga lekin phir hichki sun ke kachchi nind mein soya bistar chaunk pada chalte chalte us ka aanchal chhu ke aisa guzra hai mere jism pe kale rang ki shirt ka collar chaunk pada main ne khud pe mantar padh ke phunka taki ishq na ho lekin us ki nili aankhen dekh ke mantar chaunk pada dekh ke jugnu ke shane par parcham yar baghawat ka din ki ghat mein baitha shab ka wahshi lashkar chaunk pada insanon ke kartab dekh ke 'rahib' pas ke jangal mein nim ke ped ki shakh pe baitha natkhat bandar chaunk pada