pichha hi nahin chhodti ghar bar ki khushbu raste se ayan hai dar-o-diwar ki khushbu kab kaise kahan se bani pur-pech gali mein bechain kiye rahti hai asrar ki khushbu main apne tasawwur mein hun khush-haal baradar qadmon mein padi hai mere darbar ki khushbu tum ajnabi qadmon se nikal jao musafir pana hai kisi aur ko gulzar ki khushbu ashkon ke jharoke mein bhi dar aai hai aksar hairan tabassum mein basi yar ki khushbu ek gul pe qanaat hai kahan bahti hawa ko har-waqt liye phirti hai do-chaar ki khushbu barson jo rahi dafn kisi zakhm-e-jigar mein pael se ugi aaj wo jhankar ki khushbu aawaz pe takiya na lagana kabhi 'jafar' khamosh sada deti hai us par ki khushbu