ab ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar ho ki na ho zindagi saya-e-gesu mein basar ho ki na ho mujh ko rakhna hi tha aadab-e-mohabbat ka khayal mere shane pe kal us shokh ka sar ho ki na ho aaj har baat meri qaul-e-khudawandi hai kal meri baat pe yun jumbish-e-sar ho ki na ho jaane kis mod pe le aai mujhe umr-e-rawan sochta hun ye teri rahguzar ho ki na ho kyun na ji bhar ke ab ashkon se charaghan kar lun yun koi raat phir aankhon mein basar ho ki na ho sae mein jin ke andheron ke siwa kuchh bhi nahin un charaghon ko bujha dunga sahar ho ki na ho mere gham-khane mein aate hue ummid ki zau puchhti hai ki udhar mera guzar ho ki na ho aaj jo kahna ho ai husn khud-ara kah le kal teri bazm mein 'iqbaal'-umar ho ki na ho