jo hota aah teri aah-e-be-asar mein asar to kuchh to hota dil-e-shokh-e-fitnagar mein asar bas ek nigah mein mashuq chhin len hain dil khuda ne un ki diya hai ajab nazar mein asar na chhodi gham ne mere ek jigar mein khun ki bund kahan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar mein asar ho us ke sath ye be-iltifati-e-gul kyun jo andalib ke ho nala-e-sahar mein asar kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom rakkha hai khas khuda ne ye sim-o-zar mein asar jo aah ne falak-e-pir ko hila dala to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar mein asar jo dekh le to jahannam ki phere bandh jae hai meri aah ke wo ek ek sharar mein asar bigaden charkh se hum 'aish' kis bharose par na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar