agar marte hue lab par na tera nam aaega to main marne se dar-guzra mere kis kaam aaega use bhi than rakh saqi yaqin hoga na rindon ko agar zahid pahan kar jama-e-ehram aaega shab-e-furqat mein dard-e-dil se main us waste khush hun zaban par raat bhar rah rah ke tera nam aaega lagi ho kuchh to qasid aakhir is kam-bakht dil mein bhi wahan teri tarah jo jaega nakaam aaega isi ummid mein bandhe hue hain taktaki mai-kash kaf-e-nazuk pe saqi rakh ke ek din jam aaega yahan apni padi hai tujh se ai gham-khwar kya uljhun ye kaun aaram hai mar jaun tab aaram aaega zahe izzat jo ho is bazm mein mazkur ai waiz bala se gar gunahgaron mein apna nam aaega hazar inkar ya qat-e-talluq us se kar naseh magar hir-phir ke honton par usi ka nam aaega ata ki jab ki khud pir-e-mughan ne pi bhi le zahid ye kaisa sochna hai tujh pe kyun ilzam aaega pada hai silsila taqdir ka sayyaad ke bas mein chaman mein ai saba kyunkar asir-e-dam aaega koi badmast ko deta hai saqi bhar ke paimana tera kya jaega mujh par abas ilzam aaega unhen dekhegi tu ai chashm-e-hasrat wasl mein ya main tere kaam aaega rona ki mere kaam aaega hamesha kya piyunga main isi kohna-sifali main mere aage kabhi to saghar-e-zarfam aaega kahan se laun sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saqi khum aaega surahi aaegi tab jam aaega chhuri thi kund teri ya tere qatil ki o bismil tadap bhi tu teri gardan pe kyun ilzam aaega yahi kah kar ajal ko qarz-khwahon ki tarah tala ki le kar aaj qasid yar ka paigham aaega hamesha kya yun hi qismat mein hai ginti gina dena koi nala na lab par laiq-e-anjam aaega gali mein yar ki ai 'shad' sab mushtaq baithe hain khuda jaane wahan se hukm kis ke nam aaega