ghar hai wahshat-khez aur basti ujad ho gai ek ek ghadi tujh bin pahad aaj tak qasr-e-amal hai na-tamam bandh chuki hai bar-ha khul khul ke pad hai pahunchna apna choti tak muhaal ai talab nikla bahut uncha pahad khelna aata hai hum ko bhi shikar par nahin zahid koi tatti ki aad dil nahin raushan to hain kis kaam ke sau shabistan mein agar raushan hain jhad id aur nauroz hai sab dil ke sath dil nahin hazir to duniya hai ujad khet raste par hai aur rah-rau sawar kisht hai sarsabz aur nichi hai bad baat waiz ki koi pakdi gai in dinon kam-tar hai kuchh hum par latad tum ne 'haali' khol kar nahaq zaban kar liya sari khudai se bigad