laeq-e-dastar aakhir koi sar hona hi tha ek na ek din to ye qissa mukhtasar hona hi tha dekh kar ashk-e-nadamat aa gaya rahmat ko josh ab to meri har khata ko dar-guzar hona hi tha chashm pur-nam thi na mere honton par shikwa-gila mere gham se har kisi ko be-khabar hona hi tha inqilab-e-waqt ka parcham tha mere hath mein zinat-e-dar-o-rasan to mera sar hona hi tha dastan meri zaban se sun rahe the apni log mera har hamla yaqinan kargar hona hi tha apni be-nuri pe nargis kab talak roti bhala ik-na-ik din to chaman mein dida war hona hi tha sohbat-e-ahl-e-hunar mein umr guzri hai tamam fikr-e-'mahir' ko kabhi to mo'atabar hona hi tha