ab ja kar ehsas hua hai pyar bhi karna tha pyar jo karna tha us ka izhaar bhi karna tha awwal awwal kashti-e-jaan gharqab bhi hona thi aakhir aakhir sanson ko patwar bhi karna tha sab kuchh pana bhi tha hum ko sab kuchh khona bhi jit bhi jaana tha phir jit ko haar bhi karna tha sahraon ki khak udate andhe raston se dariya tak bhi aana dariya par bhi karna tha ek ujda viran sa manzar dekh ke bahar ka apne hathon har dar ko diwar bhi karna tha narm mulaem chehre gahri nili aaankhon wale tujh jaise be-mehr ko apna yar bhi karna tha