tamkin hai aur husn-e-gareban hai aur hum khuddariyon ka khwab-e-pareshan hai aur hum sahil se dur gharq hui kashti-e-ummid maujon ko chhedta hua tufan hai aur hum kis ne harim-e-naz ka parda ulat diya nazron mein ek shoala-e-larzan hai aur hum teri tajalliyan hain jahan tak nazar gai asrar-e-kaenat ka irfan hai aur hum baalin se kaun mahw-e-tabassum guzar gaya ab har nazar bahaar-e-bad-aman hai aur hum waraftagi-e-ishq ne pahuncha diya kahan khamosh ek faza-e-bayaban hai aur hum ai 'dil' ye sun rahe hain ki duniya badal gai ab tak unhin hadon mein bayaban hai aur hum