bhari mahfil mein tanhai ka aalam dhund leta hai jo aae ras dil aksar wo mausam dhund leta hai kisi lamhe akela-pan agar mahsus ho dil ko khayal-e-yar ke daman se kuchh gham dhund leta hai kisi rut se rahe mashrut kab hain roz-o-shab mere jahan jaisa ye chahe dil wo mausam dhund leta hai gham-e-furqat ka dil ko bojh karna ho agar halka sunane ko tere qisse ye hamdam dhund leta hai judai kab rahi mumkin kisi haalat koi surat mujhe mahfil ho tanhai tera gham dhund leta hai rahe yun naz apne zehn par lahaq ghamon mein bhi khushi ka ek na ek pahlu ye taham dhund leta hai khayal-e-yar hi darman gham-e-furqat ke zakhmon ka ki bite sath lamhon se ye marham dhund leta hai