adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle

adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle
tere paikan bade jabir bade na-mehrban nikle

adaon ne lubhaya di nigah-e-naz ne dawat
magar alfaz dil-shikani mein meri kaamran nikle

mukar lo ishq se lekin sar-e-mahshar na kahna kuchh
wahan par kaun jaane koi apna raaz-dan nikle

tumhaari bazm hai rutbe mein jannat se bhi baala-tar
yahan piri mein aae hum magar ho kar jawan nikle

bada charcha hai koh-e-tur ka wadi-e-aiman ka
bahut aghlab hai wo dar-parda meri dastan nikle

bayaban mein chaman mein dasht mein ya koh-e-viran mein
khuda jaane kahan pahunche jo su-e-ashiyan nikle

hamari maut bhi ek mauj hai dariya-e-hasti ki
bas ek ghota lagana hai yahan dube wahan nikle

moattar kar gai bu-e-wafa mahaul-e-alam ko
mere har qatra-e-khun se hazaron gulistan nikle

chhupe hain sat pardon mein ye sab kahne ki baaten hain
unhen meri nigahon ne jahan dhunda wahan nikle

ye waqt-e-naza kaisa kaisi takmil-e-hayat ai dil
ummiden kab huin puri abhi arman kahan nikle

khuda ka shukr be-dam-o-diram the mai-kade mein hum
magar pir-e-mughan apne purane mehrban nikle

haqiqat ko jo dekha ek nai duniya nazar aai
sitam goya karam tha dushman-e-jaan pasban nikle

mohabbat mein lute lekin bahut achchhe rahe 'rahbar'
guman tha jin pe rahzan ka wo mir-e-karwan nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close