apna apna samay bata rahe hain hum talluq kahan nibha rahe hain wo bhi sab aap ka diya hua tha ye bhi hai aap ka jo kha rahe hain so rahe hain kisi ke pahlu mein aur tera khwab gunguna rahe hain us ke chehre se subh uthai hai us ki aankhon se shab chura rahe hain dad wo de nahin rahe hain magar mere sheron se haz utha rahe hain wo gali se guzar rahi hai 'wasim' mujh ko ghar mein khayal aa rahe hain