bhul chuka jo tujh ko ai dil yaad mein us ki kyon rota hai duniya ka dastur yahi hai koi kisi ka kab hota hai subh ki jaanib dekh abhi se raat ke gham mein kya rota hai duniya ki to rasm yahi hai pata wahi hai jo khota hai jis ko tama na mal-o-zar ki jis ko chah na lal-o-gohar ki pair pasare ghar mein apne kitne sukh se wo sota hai ye duniya kab mit kisi ki ye kya jaane prit kisi ki nahaq is ke pher mein pad kar jaan ko apni tu khota hai kyon dhunde tu mulla pandit kyon bhatke tu mandir masjid pachhtawe ka tera aansu papon ko sare dhota hai jis ko 'nazar' khu jaur-o-jafa ki us se na rakh ummid wafa ki murakh hai jo banjar mein tu gehun ke dane bota hai