ai dil tujhe kya waqt ki pahchan nahin hai ab un se mulaqat ka imkan nahin hai tewar na hon insan ke to kuchh jaan nahin hai kya khat hai wo jis ka koi unwan nahin hai kyon josh-e-mohabbat ka wo tufan nahin hai kya dil nahin sine mein hai kya jaan nahin hai gham shart hai dauran ka ho ya ho gham-e-jaanan jis ko na koi gham ho wo insan nahin hai aae hain mere jazb-e-mohabbat ke asar se kuchh un ki inayat ka ehsan nahin hai dushman ka samajh lena to dushwar nahin 'zabt' par dost ki pahchan to aasan nahin hai