ab kahan jaunga uth kar main yahin rahne de wahshat-e-khana-badoshi tu kahin rahne de ho gai shah ko ab mat ki main kahta raha are rahne de piyaade ko wahin rahne de le ke ja sakta hai tu sar se mera charkh-e-kuhan par mere pairon tale meri zamin rahne de tark-e-hijrat ka irada bhi to kar sakta hai kaun thahrega yahan dil ke makin rahne de kaj-kulahi na mujhe takht-nashini se gharaz sar-basar khak hun aur khak-nashin rahne de hum ki darwesh hain aur ishq se matlab hai hamein husn ko apni jagah chin-ba-jabin rahne de ishq phir aur pari-zad se ahmad-'irfan' dew patthar ka bana de na kahin rahne de