badan ke dasht ko aabaad kyon nahin karte hawas bhi hai to kuchh ijad kyon nahin karte har ek khayal ko bandha hua hai lafzon se na jaane tum unhen aazad kyon nahin karte jalate kyon nahin is qabr par charagh koi mera khayal mere baad kyon nahin karte agar mila hai tumhein dard to batao hamein karahte nahin fariyaad kyon nahin karte tamam log azal se hain gosh-bar-awaz khamosh rahte ho irshad kyon nahin karte ye jabr-e-narawa apni samajh se hai bahar jo yaad aae use yaad kyon nahin karte bura hi kya hai mohabbat mein raat-din 'ahmad' sulag ke yaad ki imdad kyon nahin karte