kaun kahta hai musibat par kabhi matam na kar maut hai ek pal ki sari zindagi matam na kar gham na kar un ke darichon par charaghan ho gaya chalti phirti hai sada se raushni matam na kar karbala se le ke registan-e-sinai talak mit nahin sakti hamari tishnagi matam na kar phir se momin aatish-e-namrud mein dale gae hai yahi sunnat khalilullah ki matam na kar kufr hai ek millat-e-wahid ye raushan ho gaya mustaqil hai rishta-e-iman bhi matam na kar kisht-e-muslim ko hamesha khun se sincha gaya ek din hogi yahi kheti hari matam na kar ye bhi kya kam hai basirat ki nazar hasil hui doston ne ki jo tujh se dushmani matam na kar 'sayyadi' tarikh mein ek do baras kuchh bhi nahin kashmakash hai iztirab-e-daimi matam na kar