ab kahan wo waqt ke be-laus yari chahiye umr ke is daur mein ab zimmedari chahiye wasl-o-furqat ke tilismi daeron se tut kar ab rifaqat mein hamein kuchh paedari chahiye yun nahin ke sabr ki talqin kar ke chal diye chaaragar hain to musalsal gham-gusari chahiye kis qadar hain log mere haal par matam-kunan shakl par apni bhi kuchh to sogwari chahiye ham-safar chunna bhi hai ek karobar-e-zindagi so hamein aashiq nahin ek karobari chahiye