hota nahin yaqin mujhe chhod jaega wo mera pyar meri wafa aazmaega ai sang-e-surkh tod na nafrat ki zarb se nazuk hai mera shisha-e-dil tut jaega zar bhi zamin bhi nur-e-mohammad bhi hai tera ek sath chal ke dekh zamane pe chhaega bhaunron ko itni dawat-e-hirs-o-hawas na de tujh se tera gulab-badan chhut jaega ye daur wo nahin hai ki mukhlis rahenge dost ek din koi uthega tujhe kat khaega mujrim ke zulm-o-jaur se hargiz na ho udas tujh ko saza se munsif-e-ala bachaega tu ne bhi apni qaum ko bakhshi nahin ziya ilzam ai 'qamar' ye tere sar pe aaega