ab kahin aur kahan khak-basar hon tere bande ja kar zindagi aur bhi maghmum lage shahr se aage ja kar adam-abaad ke logon ka mizaj in dinon kaisa hoga laut aane ki tawaqqoa ho kisi ko to wo puchhe ja kar main ghana ped hun aaya bhi kabhi jo mere sae ko zawal in khizaon se bahut dur girenge mere patte ja kar kat bhi sakte hain shab o roz mere in hi gali kuchon mein lautna hai teri jaanib hi agar tere nagar se ja kar shaeri phul khilane ke siwa kuchh bhi nahin hai to 'zafar' bagh hi koi lagata ki jahan khelte bachche ja kar