wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha wahin se phir ye safar hai jahan se pahle tha hai is nigah ka karishma ki mere dil ka hunar main us ke gham ka shanasa bayan se pahle tha wo ek lamha mujhe kyun sata raha hai ki jo nahin ke baad magar us ki han se pahle tha main khush hun ham-safaron ne ki mujh se chhin liya ghurur-e-rahrawi jo karwan se pahle tha wahi in aankhon ne dekha jo dekhna tha inhen main khush-guman karam-e-dostan se pahle tha fughan ki tod saka main na be-kasi ka tilism mera nasib meri dastan se pahle tha