meri bala se sari duniya ujde ya aabaad rahe teri khushbu jis mein basi hai wo kamra aabaad rahe aashiq aur mashuq ka rishta aur ziyaada pukhta ho tere zulm-o-jaur salamat dil mera aabaad rahe mere ghar ki diwaron par barbaadi ka qabza hai teri gali ko jaane wala har rasta aabaad rahe subh sawere khwab mein dekha mujh se koi ye kahta tha ek tu hi barbaad rahe aur jag sara aabaad rahe ilm-o-hunar ka markaz hai aur shahr hai 'jaun'-o-'nasir' ka jab tak chand sitare chamken amroha aabaad rahe