ab kaho karwan kidhar ko chale raste kho gae charag jale aansuon mein naha gain khushiyan ruth kar jab wo aa lage hain gale ishq gham ko ubur kar na saka raste karwan ke sath chale hum pe guzri hain hijr ki raaten hum jahannam mein the magar na jale the mohabbat ki ibtida ke qusur wo tabassum jo aansuon mein dhale khak se sainkadon uge khurshid hai andhera magar charag-tale chand sakit hai ruk gae tare ab wo aaen to gham ki raat dhale mai-kade ka to zikr bhi hai gunah ab hayat-e-haram padi hai gale pursish-e-haal ka jawab tha kya hans pade hum ki jald baat tale