dil ko afsos-e-jawani hai jawani ab kahan koi dam mein chal basenge zindagani ab kahan aap ulatre hain wo parda wo kahani ab kahan aashiqon se guftugu hai lan-tarani ab kahan jab hamare pas the un ko hamara pas tha thi hamari qadr jab thi qadr-dani ab kahan ai pari-paikar tera mere hi dam tak tha banaw surkh mubaf o libas-e-zafrani ab kahan bad-mizaji naujawani ne sikhai hai unhen dushman-e-jaan ho gae hain mehrbani ab kahan yar aa nikla tha ai dil phir wo kyun aane laga ho gaya ek ye bhi amr-e-na-gahani ab kahan baad mere phir kisi ne bhi suni aawaz-e-yar thi mujhi tak lan-tarani lan-tarani ab kahan bagh mein nahren bhari hain phul phal ka tha maza band hain kunj-e-qafas mein dana-pani ab kahan teri aur apni haqiqat ja ke isa se kahun is qadar taqat bhala ai na-tawani ab kahan shefta jab tak na the shohrat thi zabt-o-sabr ki dard-e-tanhai ki tab ai yar-e-jaani ab kahan dil mein taqat thi tadap lete the bismil ki tarah jaan mein haalat nahin wo jaan-fishani ab kahan ghur lete the jafa-karon ko jab maftun na the ho gae chaurang khud changez-khani ab kahan apni qudrat us ne dikhla di shab-e-mearaj mein ho chuki bas mehmani mehmani ab kahan lahlahate the chaman maftun gulon par the bahaar lut gai bu-bas ai barg-e-khizani ab kahan haal-e-dil kahwate the jab qasid aate jate the nama-e-shauq aur paigham-e-zabani ab kahan dagh-e-dil us ne diya tha dil ko hum ne kho diya ai 'sharaf' us be-murawwat ki nishani ab kahan