muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-sakha ki aamad khuda ki har chiz kah rahi hai ki ab hai nur-e-khuda ki aamad falak ko hai aarzu ki jhuk kar main apne tare karun nichhawar hui hai makka ki sar-zamin pe ye aaj kis mah-laqa ki aamad har ek muhib par ye fazl-e-rab hai asar ko nalon ki khud talab hai magar us altaf ka sabab hai habib-e-rabb-ul-alal ki aamad 'hijab' paiham ye kah raha hai gunahgaron ne josh-e-rahmat mubarak ai aasiyo mubarak shafi-e-roz-e-jaza ki aamad