dil o nigah pe tari rahe fusun us ka tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka zamin ki khak to kab ki uda chuke hain hum hamari zad mein hai ab charkh-e-nil-gun us ka tujhe khabar nahin is baat ki abhi shayad ki tera ho to gaya hun magar main hun us ka ab us se qat-e-talluq mein behtari hai meri main apna rah nahin sakta agar rahun us ka dil-e-tabah ki dhadkan bata rahi hai 'raza' yahin kahin pe hai wo shahr-e-pur-e-sukun us ka