ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath girwi us par pade the mere salar ke hath zehn is khauf se hone lage banjar ki yahan achchhi takhliq par kat jate hain meamar ke hath ab sar-e-qarya-e-be-dast pada hai kashkol roz kat jate the is shahr mein do-chaar ke hath lut kuchh aisi machi shahr ka dar khulte hi har taraf se nikal aae dar-o-diwar ke hath hum sar-e-shakh-e-sinan qarya-ba-qarya mahke hum ne is jang mein sar jit liye haar ke hath saya-sozi mein to hum log the suraj ke halif ab hadaf thahre ki jab jal gae ashjar ke hath