khushbu ki tarah dil ke gulabon mein rahega wo chand hamesha mere khwabon mein rahega bhigi hui aankhon se gale mil ke bichhadna wo shakhs sada dil ke nisabon mein rahega shayad main abhi us ke jigar tak nahin utra shayad wo abhi aur naqabon mein rahega sanson ki tarah main teri nas nas mein rahunga kho kar tu mujhe khud bhi azabon mein rahega nashsha to tere qurb ka hai jaan-e-tamanna kya lutf tere baad sharabon mein rahega han pyar hai han pyar hai suli pe chadha do iqrar hai iqrar jawabon mein rahega phir zard ruten dil pe utarne lagin 'ayyaz' dil tab hi bachega jo kharabon mein rahega