ji rahe hain aafiyat mein to hunar khwabon ka hai ab bhi lagta hai ki ye sara safar khwabon ka hai ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se zindagi kya hai miyan bas ek ghar khwabon ka hai raat chalti rahti hai aur jalta rahta hai charagh ek bujhta hai to phir naqsh-e-digar khwabon ka hai rang bazar-e-khirad ka aur ye mera junun ek sitara gumbad-e-aflak par khwabon ka hai raat ka dariya aur us mein ek tufan-e-muhib jagna hai der tak ye bhi asar khwabon ka hai warna kat jate hain roz o shab zamane ki tarah jo bhi thoda ya bahut samjho to dar khwabon ka hai