nahin milte wo ab to kya baat hai yahan khud se bhi kab mulaqat he tere dhyan ke sab ujale gae bas ab hum hain aur dukh bhari raat hai hamari taraf bhi kabhi ek nigah hamein bhi bahut nashsha-e-zat hai sulagta hua din jo kat bhi gaya to phir aanch deti hui raat hai shikayat kisi se to kiya thi magar gila ek rasm-e-kharabaat hai naya dukh to milta hai kis ko yahan magar gham ki har shab nai raat hai har ek sham taza umid-e-visal har ek roz roz-e-mukafat hai