jehd-e-paiham ke hasin khabt ko sar mein rakhna panw thak jaen to sochon ko safar mein rakhna rafta rafta wahi ban jata hai ghar ka malik kar-e-dushwar hai mehman ko ghar mein rakhna main khata-kar khata hai meri pahchan magar wasf-e-insan hai farishton ko nazar mein rakhna azm-e-manzil na kahin bojh tale dab jae zad-e-rah hasb-e-zarurat hi safar mein rakhna bujhte bujhte jo suna jae kahani shab ki aisa anjum koi aaghosh-e-sahar mein rakhna pakne se pahle samar koi zamin-bos na ho aisa andaz-e-numu tukhm-e-shajar mein rakhna jaan-lewa hai jo shakhon pe musallat hai sukut hausla khar ka phulon ke nagar mein rakhna