ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai kis qadar jald badal jate hain insan jaanan zindagi teri ata thi so tere nam ki hai hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jaan jaanan muddaton se yahi aalam na tawaqqo na ummid dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan har koi apni hi aawaz se kanp uthta hai har koi apne hi sae se hirasan jaanan jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaanan ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae aur se aur hue dard ke unwan jaanan hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan hosh aaya to sabhi khwab the reza reza jaise udte hue auraq-e-pareshan jaanan
Please share if you liked this!!!