zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai taswir-e-kaenat ujale mein rah gai aankhon ki hi sharab thi tauba-shikan zarur kuchh aur bhi mai ki tarah pyale mein rah gai karti hai maut jaise taaqub hayat ka titli giri faza se to jale mein rah gai bad-mazgi-e-suluk ka gahra asar hua ek kankari si mere niwale mein rah gai